Bismillahir Rehmanir Raheem
GHAIR MUQALLIDEEN FIRQON KE NAAM KI HAQIQAT:
British ke Daur se pehle Ahl-e-Quran wa Ahl-e-Hadis ye dono alfaz Ahl-e-Sunnat Wal Jama't ke 2 Ilmi Tibqon par istemal hotey the..
Ahle-Qur'an: se muraad Huffaaz wa Mufassireen hain.
Ahle-Hadis: se muraad Hazraate Muhaddiseen hain Ya'ni Hadis ke Log.
Jo bhi Tibqa aHadis ka ilm rakhta ho ya aHadis ka Dars deta ho. Usey Ahl e Hadis kahte hain.
1 lakh aHadis Sanad wa Matan ke sath Yaad rakhne waley Ko
Hafiz kehte hain.
3 lakh aHadis Yaad rakhne waley ko Hajjaj kehte hain.
Aaj ke Ahl-e-Hadis asal Ahle Hadis nahi kyonke na toh inka rishta kisi Muhaddis se judta hai na ye Ahadis ke Hafiz hain.
Ye sab toh Tark e Taqlid kar ke Apne ko firqa e Jadeed Naam Nihad Ahle Hadis se jod liya hai aur isi tarah Ahle Qur'an bhi hain, Jama'tul Muslimeen bhi hain.
Agar koi behtar naam is Angrez ke daur ke firqe ko diya ja sakta hai toh Wo hai Ahle Hadis Nafsi. Kyonke ye amal karte hain sirf un Ahadis par jo inke Nafs ko theek lagein.
Jo Ahadis Nafs ke khilaf ho, un Ahadis ke ye Munkareen hain.
Aur mukhtaleefa haile wa bahane pesh karte hain un Ahadis ke inkaar me.
Jama'tul Muslimeen: se muraad Musalmano ki jama't hai jisme har Kalimah padhne wala shamil hai.
Jab British ka daur Hindustan me aaya tab yu hua ke..
Jo Munkareen e Hadis the unko Ahl-e-Qur'an kaha jane laga aur Jo Munkareen e Fiqah, the unko Ahl-e-Hadis, kaha jane laga..
Ahle Hadis me bohat se firqe hue hain jisme Jama'tul Muslimeen bhi ek hai..
1. Ahl-e-Qur'an Ye asal me toh Ahadis ke hi munkar hain. Kehte hain Ahadis ki kitabein, Nabi SAWS ki wafat ke 200 saal ba'd likhi gayi toh in par aitmad nahi.
Surah Ahzab:21 me Rasoolullah SAWS ki zindagi ko Qayamat tak tamam Insano ke liye Behtareen Namuna qarar diya hai.
Ab bechare Ek toh hain Ghair Muqallid upar se Ahadis ke Munkar toh Nabi SAWS ki Mubarak Zindagi kaise maloom karengey.?
Meri mulaqaat 2 Ghair Muqallid firqo se hui hai Ek toh Ahle Hadis aur Dusre Jama'tul Muslimeen.
Toh Inka dhoka mai apke samne rakhne ki koshish kar raha hu.
2. Jama'tul Muslimeen: Ye log Hadis pesh karte hain Bukhari wa Muslim ke hawale se Huzaifa rz. se marvi: Jamatul Muslimeen aur iske Imam ko lazim pakad lo aur Tamam firqe (Ahle Hadis, Ahle Quran, Shia, Qadyani, Hanafi, Shafi'i, Maliki etc.) se alag ho jao.
Aur ek Hadis Hakim ke hawale se bhi pesh karte hain Mafhoom hadis hai
ke: ...Jisne apne aap ko Jamatul Muslimeen se alag kar liya goya usne apne Galey se Islam ka patta utaar diya.
Matlab Ye hai ke Ahle Hadis,Hanafi, Shafi'i etc. Jo is jamat se jude nahi hain, Wo sab ke sab kafir hain. (Naoozubillah)
Jabke asal hadis ka maf'hoom hai: Agar Musalmano ki koi Jama't aur inka Imam ho to Usko lazim pakad lo aur Musalmano ki koi jama't na ho toh tamam firqo se alag ho kar jungle me chale jao yaha tak ke wahin par mout aa jaye."
Ye log Tamam hadis ke lafz ka urdu me tarjuma karte hain sivaye Jamatul Muslimeen ke.. Jabke Jamatul Muslimeen se murad Musalmano ki kisi bhi muttahid Jama't ko lazim pakadne ka hai.
Hafiz Ibne Hajar Fatahul Bari me likhte hain: Imam se murad Khalifa ya Ameerul Mu'mineen hai. Isi tarah hadis me Firqo se muraad wo tamam firqe hain jo Ahle Sunnat se hatey hue hain.
Mullah Ali Qari rh. Likhte hain ke:
Tamam firqo se alag ho jao yani Un Gumrah firqo se jo Ahle Sunnat wal Jama't ke tariqe ke khilaf hain. (Mirqat 10/10)
Aur Quran wa Hadis ke maahir Ulama ka Quran wa Hadis ki roshni me is par ittefaq hai ke Hanafi, Shafi'i, Maliki, Hanbali haqeeqi Ahle Sunnat hain.
Harmeen Shareefain me bhi in 4 Mazaheb ke ilawa kisi aur firqe ka Musallah nahi hua.
Ahle Hadis naam ka koi Musallah maujood hi na tha.
Aur jab Saudi Arabia me NAJADI Hukumat Qayem hui toh Un logo ne 3 Musallo ko waha se nikaal diya. Aur ab wahan sirf Ahle Sunnat Hanabla ka Musallah baqi hai.
3. Ab Ghair Muqallid Ahle Hadis bhi Jamatul Muslimeen se peeche nahi hain.
Ye toh Jahan kahin bhi Ahle Hadis lafz mil jaye apne se jod lete hain jabke Unhey khoob pata hai ke ya toh Wo Ya unke Waalid ya Daada ne Tark e Taqlid karke firqa e Ahle Hadis se apna rishta qayem kiya hai.
Is tarah rishta jodne se kya Koh Haqeeqi Ahle Hadis ho jayega.?
Ye log Khoob jaante hain ke inka ye dhoka Arabiyo ke paas nahi chalega.
Isliye Ye tajweez nikaali ke Arabiyo ke haan ye apne aap ko SALAFI kehlayenge.
Kuch Ahle Hadis kehte hain Abu Hanifa rh. bhi Ghair Muqallid the aur hum bhi GM, Kuch kehte hain Imam Bukhari Muslim etc. Ahle Hadis the.
Aur kuch ne Ahadis se ye sabit karne ki Koshish ki ke fala' fala' Sahabi Ahle Hadis the. Aur kuch Log Qur'an se sabit karne ki koshish kartey hain ke hamari Jama't ka naam fala' jagah aaya hai.
Ye mahaz ek dhoka hai, Kabhi 4 Aimma ke maanne walo ne aisa nahi kiya hai..
Ye sab kuch bilkul waisa hi hai jaisa ke Mirza Ghulam AHMED Qadyani ka apna naam AHMED Qur'an se kam aqal logo ko dikha kar Nabuwwat ka da'wa karna..
Aye Ghair Muqallido! Apne firqe ka naam Qur'an wa Ahadis se dikhane se Tum Ahle Sunnat Wal Jama't me shumar nahi ho jaogey na Tum Firqa e Najiyah me shumaar ho jaogey.. Balke Tumhara Aqidah wa Amal durust hona chahiye.
Walillahil Hamd..
No comments:
Post a Comment