Monday, 1 August 2011

‎6 NUMBER OF TABLEEGH

DEEN MAIN CHAND SIFAAT AESI HAIN JIN KO SEEKH KAR DEEN PAR CHALNA ASAAN HOJATA HAI AUR YE KEHLATEY HAIN TABLEEGHI 6 NO............................​...........................


(1)​:KALMAYE TAYYABA:- "LA ILAHA ILALLAHU MUHAMMADURRASOOLULLAH "YE KALMA HUM NE PARHA IS KA MATLAB YE HAI K NAI KOI MABOOD SIWAI ALLAH TA'ALA K WOHI PAALNE WALA ,HAMAIN ROZI DENE WALA ,ZINDAGI DI US ALLAH NE MAUT DEGA SIRF ALLAH AUR USKE NABI(SALLALLAHUALAIHIWASALLAM)​ K TAREEQON MAIN HI DUNIYA AUR AAKHRAT KI KAMIYABI HAI. ALLAH SUBHANAU TA'ALA NE (1 LAC 24 HAZAR ) AMBIYA DUNIYA MAIN BHEJE SAB NABION NE AIK HI BAAT KI DAWAT DI K KALMAY KO APNA LO KAMIYAB HOJAYOGE TO JIS NE APNE WAQT K NABI KI BAAT KO SUNLIYA ALLAH PAAK NE USE KAMIYAB KARDYA AUR JIS NE MUNAFIQAT IKHTIYAR KI USE ZALEELO KHUWAAR KARKE DIKHAYA AB JAB K HAMARE PYARE NABI(SALLALLAHUALAIHIWASALLAM)​ AAKHRI NABI BANAKAR IS DUNIYA MAIN BHEJE GAYE AB US K BAAD NABOUWAT KA SILSILA HAMESHA HAMESHA K LIYE BAND HOGAYA TO AB KHATME NABUWAT KI BARQAT SE YE KAAM HAMARE ZIMME AGAYA K HUM KHUD BHI NAIK KAAM KAREN AUR DOSRON KO BHI ISKI DAWAT DEN AUR KHUD BHI BURAYI SE BACHEN AUR DOSRON KO BHI BACHNE KI DAWAT DEN . ALLAH PAK NE FARMAYA K TM BEHETREEN UMMAT HO KION K TM NABION WALA KAAM KARTE HO......


(2):NAMAZ:- KALMEY K BAAD FORI HUKUM NAMAZ KA HAI NAMAZ MOMIN KI MAIRAAJ HAI,JANNAT KI KOONJI HAI.SHAITAAN KA MN KALA KARTI HAI,NABI KAREEM (S.A.W)KI AANKHON KI THANDAK HAI . HADEESE PAAK MAIN ATA HAI K JO SHAKS 40 DIN BAJAMAT NAMAZ PARHTA HAI ALLAH TA'ALA USE 5 INAMAT ATA FARMATE HAIN 1 MARNE SE PEHLE AUR 4 MARNE K BAAD PEHLA YE K DUNIYA MAIN RIZQ KI TANGI DOOR HOJAYEGI,QABAR KA AZAAB US PAR SE HATA LIYA JAYEGA ,NAMA E AMAAL SEEDHE HATH MAIN DIYA JAYEGA, PUL E SIRAAT PAR SE BIJLI KI TARAH GUZAR JAYEGA AUR BAGHAIR HISAAB KITAAB K JANNAT MAIN DAKHIL KARDIYA JAYEGA........WESE BHI NAMAZ KISI SURAT MAAF NAI KHUWA BEEMAR HI KION NA HO. 

شیخ عبدالقادر جیلانی عظام رحمه الله

شیخ عبدالقادر جیلانی عظام رحمه الله نے ”غنیتھ الطالبین ” میں اک حدیث نقل کی ہے۔ کہ حضرت عایشہ رضی کے پاس آپ صلعم بیٹھے تھے ۔ اٹھکر گیے آنے میں دیر ھوگیی۔ حضرت علی رضی فرماتے ہیں کہ تھوڑے دیر بعد آپ تشریف لاے اور آپکے چہرے پر پسینے کے آثار تھے ۔ 
ھمنے آپ صلعم سے پوچھا کہاں تھے ۔ آپ صلعم نے فرمایا فلاںجگہہ پر تھا ۔ وھاں اک شیطان نے انڈہ دیا ۔ اور اسمیں سے سات بچے نکلے ۔ ان سات بچوں کے الگ الگ نام اور الگ الگ انکی زمہ دآریاں بتایی ۔ گنوایی۔

جسمیں اک کا نام ” حدیث ” ہے ۔ اسکی زمہ داری بیان کی کہ تم نمازییوں کو پریشان کرنا ؛ وسوسہ ڈالنا ’ انکے دلوں میں یقین بٹھانا کہ کہ تمھاری نماز نہیں ھویی ۔

Mah e Ramzan Ki Fazilat


SURAH AL BAQARAH


Ramzan ka maqsad (Mufti Taqi Usmani DA)


Happy Ramzan for All Muslim



Ramzan